Aaj Mujhe Pyaar Kii Hadh Se Guzar Jaane Do,
Adhmari Ho Hii Chuki Hoon,Poori Tarah Mar Jaane Do,
Karti Rahi Wafaayein Main Uski Jafaaon Ke Badle Bhi,
Aaj Yaaro Us Bewafaa Ka Dil Dukhakar Jaane Do,
Rakhi Muskaan Sada Labon Pe,Tanhaai Me Bhi Mehfil Mein Bhii,
Ab To Mujhe Khuda Ke Ghar Aansoo Bahaakar Jaane Do,
Uski Galtiyon Ko Main Kaise Ginaaun Ae Zamane Walo,
In Hisaabon Se Mujhe Apna Daaman Chhudaakar Jane Do,
Uski Duniya Mei Jeene Se,Jahannum Kaa Nazaara Behtar Hain,
Zehen Se Nikalkar,Uski Duniya Do Pal Ki Jannat Kar Jane Do,
Har Kadam Par Mujhe Usse,Badnaami Ke Siwa Kuch Naa Mila,
Aaj Mujhe Bhi Ruswaaiyon Ka Sheher Use Dila Kar Jane Do,
Umr Bhar Pilaati Rahi Main Usko Apni Aanko Se,
Us Chalakte Jaam Ko Aaj Kadhwa Zeher Kar Jaane Do,
‘Kasak’ Kii Laash To Ab Tumhare Hawale Hi Hai Yaaro,
Jism Tum Jala Dena,Mujhe Rooh Lekar Jane Do