Aaj Likhenge Hum Tujhe Phir Se Kyunkl
Chain Baksh Diya Hai Khuda Ne Mujhe Aaj Thoda Sa phir Se
Bhul Gaye Teri Bewafaai Ko,Teri Diye Saare Gumon Ko
Zahan Mein Baaki Hai Sirf Teri Mohabbat Sirf Teri Mohabbat
Haan Who Mohabbat Jo Aaj Bhee Baaki Hain
Wo Batein Teri Jiski Khatir
Hame Kisi Ke Bhee Chahat Nazar Nahi Aati Hain
Aaj Raasta Manzil Ko Jata Hua Nazar Aaya Hain
Teri Saari Hidayatein Phir Teri Yaad Dilati Hain
Main Wahan Tak Le Jaongi Apne Ishq Ko E Zalim
Teri Nadaniyan Aaj Bhee Mujhe Hansati Hain
Mat Samajhna Kee Yeh Shayri Hai Kagaz Par
Yeh Wo Rang Hai,Jisme Teri Khushbu Abhi Baaki Hain
Sanam Zamane Ko Thukra De Pal Main Tere Liye
Isliye To Duniya Ko Apne Kalaam Reh Rehkar Sunati Hain
Sanam Koi Cheez Nahin Jo Her Kisi Ke Khwahish Main Sama Jaye
Sanam To Sirf Uske Naam Se Hi Jaani Jaati Hain
Tu Na Padhe Yeh Sab To Bhee Koi Gum Nahin Hame
Kam Se Kam Padhnewalon Ko To Hamari Baat Samajh Aati Hain
Aaj Bhee Nahin Jante Pyar Kise Kehte Hain
Bas Aik Hi Aawaz Hai Teri Jo Ruh Ko Chuu Kar Jati Hain
Tujh Si Zindagi Aasan Nahin Jeeni,Ham Samajhte Hain
Teri Hansi Ko Pane Ko Hi To
Sanam Aage Badhti Chali Jaati Hain
Bas Yahan Apni Sanson Ko Thoda Aaram Do
Abhi Bahot Si Mulakatein Baaki Hain