Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi
Yeh Mulaqat Phir Nahi Hogi
Aise Badal To Phir Bi Aayenge
Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi

Raat Unko Bhi Yoon Huya Mehsoos
Jaise Yeh Raat Phir Nahi Hogi
Ik Nazar Murke Dekhne Wale
Kya Yeh Hairat Phir Nahi Hogi
Jaane Wale Hamari Mehfil Se
Chand Taaron Ko Bi Saath Leta Ja
Hum Khizaaon Se Nibaah Kar Lenge
Tu Baharon Ko Sath Leta Jaa
Koi Hasse To Tujhe Ghum Lage Hassi Na Lage
Ke Dillagi Bhi Tere Dil Ko Dillagi Na Lage
Tu Roz Roya Kare Hut Ke Raaton Mein
Khuda Kare Tera Mere Begair Ji Na Lage
Yeh Jo Diwane Se Do Char Nazar Aate Hain
In Mein Se Kuch Sahibe-Asraar Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Baraam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Yeh Log To Bedaar Nazar Aate Hain
Mere Damaan Mein Kanton Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Aap Phooloon Ke Haridaar Nazar Aate Hain
Hashr Mein Kon Gawahi Meri Dega Saahil
Saab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain
Chandni Raat Yaad Aati Hai
Wo Mulaqat Yaad Aati Hai
Dekh Kar Un Ganeri Zulfon Ko
Mast Barsaat Yaad Aati Hai
Ankh Uthi ….
Jis Taraf Uth Gayi Hain Aanhen Hain
Chasm-E-Baddur Kiya Nigahen Hain
Jidar Uthai Nazar Qatl-E-Aam Tumne Kiya
Qazaa Ka Naam Huya Aur Kaam Tumne Kiya
Ankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li
Dil Ka Sauda Huya Chandi Raat Mein
Unki Nazron Ne Kuch Aisa Jaddo Kiya
Loot Gaye Hum To Pehli Mulaqat Mein
Hum Hosh Bhi Apne Bhul Gaye
Imaan Bhi Apna Bhul Gaye
Ik Dil Hi Nahi Us Bas Mein
Hum Na Jaane Kiya Kiya Bhul Gaye
Jo Baat Thi Unko Kehne Ki
Wo Baat Hi Kehna Bhul Gaye
Gairon Ke Fasane Yaad Rahe
Hum Apna Fasana Bhul Gaye
Kya Kya Nigah Yaar Bata Hasin Ho Gayi
Kabhi Bijli Bani Kabhi Shamshin Ho Gayi
Aisi Mili Hain Apni Nazar Us Nazar Ke Sath
Mehfil Mein Baar Baar Uni Par Nazar Gayi
Humne Bachai Lakh Magar Phir Udar Gayi
Unki Nigah Mein Koi Jadoo Zaroor
Jis Par Padi Usi Ke Jigar Mein Utar Gayi
Banke Tasweer-E-Ghum Reh Gaye Hain
Khoye Khoye Se Hum Reh Gaye Hain
Bant Li Sabne Aapas Mein Khushiyaan
Mere Hisse Mein Ghum Reh Gaye Hain
Ab Na Uthna Sarhane Se Mere
Ab To Ginti Ke Dum Reh Gaye Hain
Qaafila Chal Ke Maanzil Pe Pahuncha
Thehro Thehro Mein Hum Reh Gaye Hain
Ae Sabaa Ik Zehmat Zara Phir
Unki Zulfon Mein Hum Reh Gaye Hain
Qayenaten Jafaawon Wafaaon Mein
Eik Tum Eik Hum Reh Gaye Hain
Allah Allah Yeh Kiski Gali Hai
Uthte Uthte Qadam Reh Gaye Hain
Nazar Mila Ke Mere Paas Aa Ke Lut Liya
Nazar Hati Thi Ke Phir Muskura Ke Lut Liya
Yeh Lut To Dekho , Jab Chaha
Muj Mein Hi Reh Kar Muj Hi Samaa Kar Lut Liya
Sath Apna Wafaa Mein Na Chhute Kabhi
Pyar Ki Dor Bankar Na Tutte Kabhi
Chhot Jaye Zamana Koi Ghum Nahi
Hath Tera Rahe Bas Mere Hath Mein
Rukh Hai Barsaat Ki Dekho Zidd Mat Karo
Raat Andheri Hai Badaal Hain Chhaye Huye
Ruk Bi Jao Sanam Tum Ko Meri Qasam
Ab Kahan Jaoge Aisi Barsaat Mein