Aaj Duniya Ko Mohabbat Ki Kadar Hi Kahan
Har Taraf Nafrat Ka Saya Hai
Bhai Bhai Ka Dil Cheer Raha Hai
Bharat Apne Hi Khoon Se Nahaya Hai
Mazloomon Ki Kaun Kare Hifaazat Yahan
Rakhwalon Ke Hi To Khauf Ne Sataya Hai
Patharon Ki Murat Mein Ab Rab Basta Nahin
Uski Fitrat Mein Bhi Zulm Samaya Hai
Junoon Hai Jeetne Ka Ye Daud Zindagi Ki
Humne Maut Ki Taraf Kadam Badhaya Hai
Har Disha Mein Aandhi Hai Pyaasi Lahoo Ki
Insaaniyat Ko Insaan Ne Hi To Maar Khaya Hai
Chand Siyaron (Politicians) Ne Bhookh Mitane Ko Apni
Shikaar Insaan Ka Insaan Se Karwaya Hai
Dekhna Chahta Hai Jo Apne Phool Ko Khilte Hue
Bageechon Ko Registaan Mein Badalwaya Hai
Agar Basti Hai Aaj Bhi Mohabbat Dillon Mein
To Kyon Apne Hi Bachhon Se Mulk Tharraya Hai
Dawa Karta Hai Jo Shaks Ishq Ka Mashhoq Se Apne
Jaane Kitno Ko Bewa Usne Banaya Hai
Jo Aashiq Hai Yahan Apne Mehboob Ka Usne
Kitne Hi Dillon Pe Khanjar Chalaya Hai
Deta Hai Misaal Tajmahal Ki Mohabbat Liye
Kitne Hi Aashiqon Ka Makbara Usne Banwaya Hai
Rehnuma Hai Jo Watan Ka, Kaumb Ka Apne
Usi Ne Katle-Aam Karwaya Hai
Katle-Aam Karwaya Hai