Aa Ker Tum Khuwaaboon Ko Mere Jagah Na Do
Tarapte Dil Ke Dard Ki Yunh Dawa Na Do
Duniya Ke Ghum Soonp Ker Mujhe
Ab Khush Rehney Ki Dua Na Do
Dikhla Ker Mekhaney Ka Rastaa Phir
Ab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do
Kaantey Bhar Ker Merey Daaman Mein
Mujhe Pholoon Ki Si Adaa Na Do
Mila Ker Zeher Merey Ja?am Mein
Mujhe Be-Wajah Maut Ki Wajah Na Do
Gunaah Jo Sarzad Hua Hee Mujh Se
Pal Pal Be Gunaahi Ki Saza Na Do
Badnaam Ker Ke Uss Ki Galiyoon Mein Ab
Uss Ke Aashyaaney Ka Tumhee Pata Na Do
Mohabbat Kertey Hein, Dikhana Nahi Jaantey
Ilzaam Magroori Ka De Ker Ye Sila Na Do
Jala Rakha Hai Ummeedoon Ka Diya Sadyoon Se
Pal Bhar Ki Khalish Se Isey Bujha Na Do
Mein Ek Na Cheez Sahee Kisi Ke Dil Ka Hisssa Hoon
Mujhe Yunh Sufha-E-Hasti Se Mita Na Do
Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool
Nafrat Hee Sahee,Tark-E-Talluq Ki Magar Hawa Na Do
Cheen Ker Mujh Se Zindagi Meri
Mujhe Aur Jeeney Ki Baddua Na Do