Ai dost jinn se hum ko tawaqo gulon kee thee,
Woh raaston mein khaar bakhere chale gaye,
Bass chandd hee dino ke thay dere chale gaye,
Khana —badosh log savere chale gaye,
Haath mein apne jaal sunehri liye hue,
Gehre samundron ke machhere chale gaye,
Kuchh maikade kee sammat gaye jhoomte hue,
Kuchh manchale faqeer ke dere chale gaye,
Pehle se abb kahan woh mohabbat ke roz-o-shab,
Shaamein chali gayi who savere chale gaye,
Ai dost jinn se hum ko tawaqo gulon kee thee,
Woh raaston mein khaar bakhere chale gaye,
Jo loot-te thay din ka saqoon raat ka qraar,
Kis desh ko woh haseen lutere chale gaye
Dukh hai dard hai toh dawaa hai dosti,
iss ghutan bhari zindagi ki haseen fiza hai dosti.
jo na samjhe uske liye kuch nahi,
jo samjhe uske liye khuda hai dosti
Friendship doesn’t need
any promises any terms or conditions.
it just need two wonderful people ..
Jyoti Sandhu