Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya
To jitne bal khake paani kinaron se takraya
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya
———— ——-
Jab baarish ki boondo ne dharti ko chooma
Humne zameen par bikharte sitaaro ko paya
Jitne sitaaron ko saawan ne barsaya
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya
———— ——-
Fiza ne jab gulshan mein foolo ko mehkaya
to jitani baar mehak ko humnei apni saanson mein paya
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya
———— ——-
baadlon ke peeche se jab
suraj yun muskaya
uski naram kirano se tune
jab zindagi ki Lau (fire) ko jalaya
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya
———— ——-
Gulshan ki raahon se jab main guzra
to jitane khushgwaar ehsaaso ko maine kareeb paya
Utani Baar Ae Khuda tu Yaad aaya
———— ——-
Ae kaash ke tu har waqt
Yun hi mere saatjh rahe
Na main kuch kahun
Tu bhi khamosh hi rahe
Bas nazron se nazrein
Isharon mein baatein kahe
Aur dekh kar yun humein
KOI aur deewana bhi yeh kahe
KI AE KHUDA TU YAAD AAYA
AE KHUDA TU YAAD AYA…..
———— ——— —–
If u like this do give ur comments
Shukriya