Dosto ke rehnuma wo hai hum nahi
Chot pe chot khate wo hai hum nahi
Phir bhi duniya hume hi yaad karti hai
Is par bhi unhe zara sa bhi gum nahi
———–++++++++++——–+++++++———
Wo nahi to hum nahi duniya ke ye sitam nahi
Wo sagar hai unke age to hum bhi hum nahi
Ye giza hai unki jo Riyaz-e-Syahi me dum hai
Warna unke bina to koi Mehfil-e-Zam nahi
——-++++++++——-+++++++——-++++——-
Tasavur hua unhi se unhi se hai ye jindagi
karta hu yaad khuda ko dekh unki bandagi
Chasme bayaan karte halaat ab unhi ke
Halaat-e-chasm me jaise thehri hai jindagi
——++++++——–+++++++——-+++++——–
Furkat ki baat hai ye jaise ho fursat me raat
Ayi hai ab juba pe to mai likhta hu jindagi
Ikraar aap bhi kariye ki gujar na jaye ye raat
Baato hi baato me jaise hai pal bhar ki jindagi
——++++++——+++++++——-++++++———
Age abhi aur bhi hai jamane ke rang haseen
Ki ab na jau sochta hu aye meri mehjabeen
Rone ki surat nahi hasne ka hai ye pal
Aye mere doston ayunga phir mai kal
————————— – – – – – —–
Nagme mere ab yu bhujne na dena tum
Ki yado ke sil sile hai yado me hona tum
Tum bin ye jindagi ab adhuri si lagti hai
Ki ayo meri mehfil me jayo na kahi tum
—————————————-
Kuch ashq hai mere jo shabdo me dikh rahe hai
Shayad koi gulfaam ho jo pehchaan le inhe………
To be Continued…………………. . . . .
Riyaz…..a dost that never dies……….
raaj.riyaz@gmail.com
09305545817