Lazzat-E-Zakham-E-Jigar Tujh Se Chupa Bhi Na Sakoon
Dard Ais Darja Badha Hai Ke Bata Bhi Na Sakoon
Aaj Rukhsat Hua Jata Hoon Bas Itna Keh Ke
Main Gaya Waqt Nahin Hoo Ke Phir Aa Bhi Na Sakoon
Tohfa-E-Ishq Jo Zakhmon Ka Diya Hai Tu Ne
Yeh Tere Harf Hain Jin Ko Main Mita Bhi Na Sakoon
Woh Tere Khat Tujhe Waapis Main Karoonga Jin Ko
Khud To Padhta Nahi Auron Ko Suna Bhi Na Sakoon
Teri Furqat Main Yehi Haal Hua Hai Apna
Khud Sambhal Bhi Na Sakoon Tujh Ko Bhula Bhi Na Sakoon
Yeh Gham-E-Dil Jo Zamane Se Mila Hai Mujh Ko
Zeest Ka Baar Hai Aisa Ke Utha Bhi Na Sakoon
Zikar Kyun Karte Ho Be Wajh Tum Un Ka Hum Se
Door Itna Hai Ke Paas Us Ko Bula Bhi Na Sakoon
Aaj Maikhane Main Mil Jaayen Jo Mujh Ko Ghalib
Zahid-E-Khushk Nahi Hoon Ke Pila Bhi Na Sakoon
Jalte Rahne Do Yeh Deepak Jo Ba Shakal-E-Jaan
Aik Akela Hi Bacha Hai Ke Bujha Bhi Na Sakoon