Kisi Ki God Me So Jane Ka Dil Hai,
Kahin Munh Chupake Ro Jane Ka Dil Hai, Na Jane Kyon,
Aaj Is Hawa Mein Kho Jane Ka Dil Hai, Aaj Phir Se
Khwahishon Ka Maataam Manaane Ka Dil Hai,
Apna Hi Janaaza Uthane Ka Dil Hai, Aaj Phir Se,
Bus Aakhiri Baar, Unke Dil Me Utar Jane Ka Dil Hai.

Aaj Is Dil Ko Smajhaane Ka Dil Hai, Apni Un
Bemurawwat Muraadon Ko Bhulane Ka Dil Hai,
Shok To Mana Loon Apni Ruswaayee Ka, Lekin
Aaj Rokar Unse Lipat Jaane Ka Dil Hai,
Kis Baat Ki Saza Di Tune Mujhe Aye Khuda?
Is Baat Par Tujhse Lad Jaane Ka Dil Hai,
Chaahta Hai Jo Aaj Bhi Tumhe Usi Shiddat Se,
Woh Mera Wohi Bewakoof Sa Ek Dil Hai.
Kahta Hoon Rukja, Sudharja, Sambhalja,
Raunda Tha Jisko Usne Apne Pairon Ke Tale,
Tu To Wahi Nakaara Sa Dil Hai, Magar
Yeh Nahi Sunta Humaari, Kaisa Sunega?
Aakhir Yeh To Ek Dil Hai

Lenge Us Din Unki Berukhi Ka Imtihaan,
Jab Mera Janaaza Unke Dar Se Guzarega,
Us Din Woh Khud Ko Kaise Chupaayenge,
Char Din Ki Hoti Zindagani To Jee Lete, Kambakht
Umra Bhar Maatam Hum Kaise Manaayenge.