Ek Baar Fir Jeene Ki Koi Tamanna Hi Mujhe Na Rahi
Jaise Zindagi Mein Aab Koi Bhi Khushi Na Rahi
Jee Rahi Hoon Aaj Ek Zinda Laash Baan Kar Main
Aankho Ko Meri Aaj Aasuon Ki Koi Kami Na Rahi

Khamosh Saanso Main Basera Tha Unki Khushiyo Ka
Ghum Ke Toofan Main Khushiyo Ki Aab Jagah Na Rahi
Badal Jaate Hai Rishte Pal Do Pal Main Doston Yaha
Jiske Saath Ki Zarurat Thi Uuse Hi Meri Zarurat Na Rahi
Kehte The Mujhe Ki Har Pal Hoon Saath Tumhare
Ek Baar Bhi Uunko Mere Jazbaton Ki Parwaah Na Rahi
Thaak Chuki Hoon Main Rishton Main Piiste Hue Aaj
Yeh Laash Hai Meri Doston Jisme Aab Jaan Hi Na Rahi