Eei Kaash Ki Haathon Ki Lakiron Mein
Irtiqaa-E-Zindagii Likhi Hoti
Pal Kuch Khushi Kei Aur Kuch Gam Ke
Hum Alag Alag Chaant Lete
Tere Haathon Se Bhi
Kuch Mere Haathon Se Bhi
Kasam Yaa Khudda Ki
Khushinyo Ki Bahaar Tujh Pe Barsaate
Har Voh Khushi Ka Pal Tere Saath Bitaate
Gam Tere Hisse Aane Na Dete
Chupke Se Saare Gam Ke Pal
Hum Chura Le Jaate
Eei Kaash Ki Haathon Ki Lakiron Mein
Irtiqaa-E-Zindagii Likhi Hoti
Milan Ka Pal Hei Kabh, Aur Kabh Judaai
Hum Sabh Jaan Lete
Milan Ke Pal Sabh Thaam Lete
Aur Judaai Ke Palo Mein
Tere Dil Ki Gehraai Mein Chupp Jaate
Ki Na Kabhi Hummei
Judaai Khoj Paati
Aur Na Kabhi Hum Judaa Ho Jaate
Eei Kaash Ki Haathon Ki Lakiron Mein
Irtiqaa-E-Zindagii Likhi Hoti
Ki Phir Jaane Hum Kya Kya Kar Paate
Lamha Lamha Parh Paate
Har Lamhe Ko Sahej Kar
Apne Dil Se Lagaa Lete
Eei Kaash…
Eei Kaash Ki Haathon Ki Lakiron Mein
Irtiqaa-E-Zindagii Likhi Hoti