Dil Ki Bechaini Ne Apna Kaam Aakhir Kar Diya
Tujh Se Mere Raabte Ko Aam Aakhir Kar Diya
Dar Tha Jis Ka Dastan-E-Ishq Main Aaghaz Se
Waqt Ne Mera Wahii Anjaam Aakhir Kar Diya
Seekh Leni Thi Zamane Se Zara Chalakiyaan
Saadagi Ne Ishq Main Nakaam Aakhir Kar Diya
Main Na Kehta Tha Ke Daulat Ki Havas Se Bach Zaraa?
Fikar Ne Ghaarat Tera Aaraam Aakhir Kar Diya
Haaye Re Laalach Ki Bas Do Chaar Daanon Ke Liye
Ham Ne Khud Ko Aaj Zer-E-Daam Aakhir Kar Diya
Omar Bhar Jis Ki Hifaazat Ki, Gaye Woh Haath Se
Ham Ne Apna Dil Tumhaare Naam Aakhir Kar Diya
Kia Khabar‚  Asgher‚  Muqaddar Ne Hamaari Zeest Ko
Kyun Supurd-E-Gardish-E-Ayaam Aakhir Kar Diya