Baad Marne Ke Mere Shayad Wo Aa Jaye
Meri Turbat Pe Bhule Se Shama Jala Jaye
Jis Tarha Royi Hu Main Uski Furkat Me
Wo Bhi Tanhai Me Do Aasu Baha Jaye
Jo Bhi Armaan Jagaye The Mujh Me Chahat Ke
Ab Ke Aa Kar Wo Har Waada Nibha Jaye
Umr Bhar Tadapti Rahi Ruh Uski Khushboo Ko
Saja Ke Mayyat Meri Wo Use Mehka Jaye
Gila Kamsin Ko Raha Yuh To Zindagi Se Lekin
Kya Pata Ajal Uska Har Shikwa Mita Jaye