Aaj Mujhe Rone Do
Paana Bahut Kuch Chahti Hun Magar
Bas Aaj Khud Ko Kahin Khone Do
Karne Ko Baatein Hain Bahut Magar
Bas Aaj Mujhe Chup Hone Do
Jhinjhod Diya Hai Zindagi Ne Aaj Itna
Yeh Toofan Shaant To Hone Do
Apne Hi Jeewan Ki Raahon Mein Kaante
Apne Hi Haathon Fir Bone Do
Fir Se Bachpan Jeena Hai Mujh Ko
Koi Mere Woh Toote Khilone Do
Toote Hue Khwabon Ko Sametoon To Kaise
Mujhe Naye Kuch Swapan Salone Do
Pyaar To Khud Se Bahut Kiya Hai
Aaj Khud Se Nafrat Bhi Hone Do
Insaan Thi Shayad Ye Kya Ban Gayi
Kuch Der Is Ka Ehsaas To Hone Do
Sapne Dekhne Hain Fir Se Mujhe
Kuch Der Ke Liye Bas Sone Do
Jeena Main Bhi Chahti Hoon Asgher
Aaj Magar Mujhe Rone Do…