Ata hai yad mujhko guzara hua zamana wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki apni khushi se ana apni khushi se jana lagti ho chot dil per,ata hai jis dam shabnam k anson par kaliyon ka muskurana wo pyari pyari surat wo kamini si murat abad jis k dam se tha mera ashiyana