Asiray shaam tanhai se yeh akhir gilla kesa

tuje to illm tha zanjir ka meri

jo peron main bi hay

or ruh par b hay

main apnay bakht ki kedi hun

meri zindagi main

narm awazoon ke jugnu kam chamakty hain

fasilay sher gham par khush sada tahir

kahan aa kar tehrtay hain

teri awaz ka resham main kese kaat sati thi

mere bas main agar hota

to sari umer

is resham se apnay khuab bunti

or is rim jhim ke andar behgti rehti

tuje to mere dukh malum the jana!

ye kis lehje main tu rukhsat hoa hay