‘Agar Aurat Naa Hoti’

Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat naa hoti

khayaalo ki rangeen jannat naa hoti

Sitaaro ke Dilkash Fasaane naa hote

Bahaaro ki naazuk haqeeqat naa hoti

Jabeeno pe Noor-e-Masarrat naa hota

Nigaaho mein Shaan-e-marrawwat naa hoti

Ghataao ki Aamad ko Saawan taraste

Fizaao mein Behki Baghaawat naa hoti

Faqeero ko Irfaan-e-Hasti naa milti

Ataa Zahido ko ibaadat naa hoti

Musaafir sadaa manzilo par bhatakte

Safeeno ko saahil ki qurbat naa hoti

Har ik phool ka rang pheeka sa hota

Naseem-e-bahaaraan mein nikhat naa hoti

Khudaayi ka Insaaf Khaamosh rehta

Sunaa hai kisi ki shifa’at naa hoti!!