Ab Teray Bina Apna Guzara Nhi Mumkin

Aur Apnay Milan Ka Koi Chara Nhi Mumkin

Jis Simt Bhi Dekhoon Tera Chehra Nazar Aye

Ik Teray Siwa Koi Nazara Nhi Mumkin

Tanha Hi Saffar Kaat Rha Hun Mai Tera Baad

Mil Jaye Mujhay Koi Sahara Nhi Mumkin

Ab To Hai Siah Raat K Jaisa Mera Jevan

Chamkay Meri Kismat Ka Sitara Nhi Mumkin

Sailab-e-muhabbat Mai Hai Lehron Mai Talatum

Tofan Mai Nazar Aye Kinara Nhi Mumkin

Dekhain Jo Saffar Zeest Ka Jhoolay Say Lehad(grave) Tak

Bin Teray Yae Jitna Bhi Hai Saara Nhi Mumkin

Dunia Mai Bhi Tanha Thay Lehad (grave) Mai Bhi Hain Tanha

Aaram Say Marna Bhi Hamara Nhi Mumkinik

Ik Baar Khata Ishq Ki Asim Say Hui Thi

Ab Ho Yae Khata Us Say Dobara Nhi Mumkin