‘Yeh barish bhi ajeeb hoti hai.

Kabhi kabhi yeh insan k jism par nai rooh par barasti hai.

Badal bahar nai jism k andar roh se takrar karte hain aur bijli us k nisaiman ko jala kar khak kar deti hai.

Leken kisi ko pata bhi nai chalta k kitney tofan a kar gozar gay hain.

honto ki muskan sab kuch chupa leti hai apna dard. Kisi ki judai main nikle anso aur kisi ki bewafai.kon kehta hai k mosam ka mohabat se koi taluk nahi……’