Zindagi say Sekhaa Hai Bohat Kuch Mainy’

Logon K Behroop or Bedard Sanam’

Kushyoon ke Kiran or Gham-e-Hijr ka Mausam’

Braiey Naam Rishtay’

KhoKhley Mohabbat main Chupay Khud Gharz Wasaail’

Hojoom-e-rafeeqaan mai bhi soooony or murjhai huey haalaat’

Gham Ke Takseem Bhi na Kr Ska ‘BENAAM’

Koi hai Giriftaar Gham-e-Ishq ka’

To koi Gham-e-rozgaar main roota hai raat bharr’

Aey Khudda tou mujhey Maar day Yaa yaar DAY’

Day Beshumaar Zarr Or Zindagi Sanwaar Day’

‘Sardiyoon ke Raat Mai’

Ik Ghareeb admi’

Aaasmaan Ke Chatt Tally’

SoRaha thaa’Ro Raha Tha’

Khawab key aisi Kaifiat Mai Mubtala tha

jis mai woh haqeeqat say zyada dard or

Ehsaas ki hiss ko choo raha thaa’

Ro Raha tha Khawab mai’

Thaa Woh Ik Khawab Main’

Uski Haqeeki Dard Ki Sachai Say Aansoo

Uski Khawabii Dunya Say Nikal kar Uski

Jism Pey aa Tapkey’

Ye Milan tha Khawab or haqeeqat ka’

Samajh raha tha dunya ko’

Seekh raha tha woh Dunya say’

Khayaal tha ‘BENAAM’ ka ‘BENAAM’ Say BENAAM Tak…