Zaahir kisi surat b kahin naam na karna.

Hain log bahot khaas, humain aam na karna

Jaany ki ijazat to dy dety hain lekin.

Rasty mein kahein aaty huay shaam na karna

Kuch roz se ye haal hai furqat mein tumhari.

Be-kaar pary rehna, koi kaam na karna

Hum bhi na dekhain gy sar-e-raah-e-ghareeban.

Tum bhi mere vaadon ko sar-e-aam na karna

Yaadon ka nasha hosh uraa deta hai Mohsin.

Saqi se kaho samny ab jaam na karna. .*