*. . .Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hun

Tuj Sy Agy Ka Safr Dekh K Dar Jata Hun

Roz Dhalty Howey Suraj Ki Tarha Sham Gaye

Main B ek Dard K Darya Me Utar Jata Hun

Wo B Chup Chup k Kahin Baith K Rota Ho Ga

Main B Raton Ko Zaraa Dair Sy Ghar Jata Hun

Main Ne B Jurm E Baghawat K Sitam Jhiley Hin

Main B Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hun

Chal Para Hun Main Dunya K Usoolon Pe WASI

Main B Ab Apni he Baton Sy Mukar Jata Hun. . .*