wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay

hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay

zakhm per sabt kar na lab apnay

zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay

hijr ki shab say haoslay apnay

bach gayay to sahar bhi daikhain gay

raat honay do,log sonay do

chand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay

ik dua dil say chup kay maangi thi

us dua ka assar bhi daikhain gay

ik puraana safar to khatm howa

ik nayi rahguzar bhi daikhain gay

gin to lainay do baykafan lashein

bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay

chhairr kar dil ki rakh ko mohsin*

ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay…

HEaRT StoLeR