Wo bandagi ki aisi misal deta hai,

Aawargi ko shariyat me dhaal deta hai.

Wo khush kalaam hai is darja baat karney me,

K harf harf ko

Husan-o-Jamaal deta hai.

Main Uska saath jo maangoon zindagi bhar ko.?

Barhey haseen tareeqey se taal deta hai..!

Ye jaan kar b k Mera Wo ho nahi sakta,

Wo dekhta hai youn.!

Shash-o-Panj me daal deta hai.

Sawaal jesey k panah maangtey hon Ankhon se,

Jawaab Ankhon se aisay kamaal deta hai..!