ukh fasana nahin k tujh se kahen

dil bhi mana nahin k tujh se kahen

aj tak apni bekhyali k sabab

khud bhi jana nahin k tujh se kahen

ek tu harfashna tha magar

ab zamana nahin k tujh se kahen

be-tarah dil hai aur tujh se

dostana nahin k tujh se kahen

ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost

ab-o-dana nahin k tujh se kahen