[ Tum Na Jaage ]

Chalo Chorro Bhii Ab Khwabon Kii Baatein

Jii Liye Kafi Dinon Tak

Zindagi Ko Bhool Kar

Masroofiat Se Jii Chura Kar

Gosha-E-Gum-Naam Mein So Kar

Tumhein Toh Subah Se Pehle Hii

Khwabon Ka Yeh Dariya Paar Karna Tha

Unhein Daikho K Jo Kam Khwab Hein

Peeche Se Aaye Aur Tumhare Paas Se Guzre

Woh Agli Manzilon Kii Deed Kii Se Be-Taab

Sooraj Doobne Ko Sar Zamee’n Par Jaagte Hein

Aarzoo Kii Fasal Bote Hein , Toh Khud Hii Kaat’te Hein

Apni In Khud Saakhta Khush-Fehmiy’on Kii

Thandi Thandi Chaa’on Mein Sote Rahe Tum

Sang-E-Raizon Kii Tarah Jeete Rahe

Aur Doosron Ke Paa’on Mein

Pamaal Hii Hote Rahe Tum

Dhoop Phir Deewaron Se Dhalne Lagi

Tum Apne Un Be-kaar Khwabon Se Na Jaage

Aur Kiraa’n Ta-Bay Kiraa’n Phaile Hue

Rangee’n Seraabon Se Na Jaage

Aasmaa’n Se Sab Azabon Se Na Jaage