tujhy naaz hy k main haseen hun

Mery gulistan ko zawal kia

Mujhay fakhar hay k main ishq hun

Jo jala na dun to kamal kia

Mujhay zindagi ki dua na day

Mujhay zindagi ki talab nahi

Meri mout ko jo taal day

Uss zindagi ki majaal kia

Hamen manzilon ki khabar nahi

Hamen rah guzar ki talash hy

Uss rah guzar par nikal paray

To urooj kia or Zawal kia

Teray pyar main shikway gilaay

Teri inn adaaon pay mar chalay

Jo hayaat thi tujh pay war di

To jawab kia or sawal kia