Teri yadon teri sochon pe mushtamil hota

Tere sath main lamha lamha dharrakta rehta

Khud se mujh ko juda na tu kar pata

Teri zindagi ka daar o madaar hota

Mere baghair tera jina boht mushkil hota

Kash main tera Dil hota… .. !!!

Main agar khush hota to hasata tujhko

Jo kbhi rota to sath Rulata tujhko

Tere sang jita sang hi marta

Teri tamam chahaton ka mehwar hota

Ay Kash!! K main es Qabil hota

Kash mein tera Dil hota . .!!