tarz jeene ka sikhati hai mujhe

tishnagi zehar pilaati hai mujhe

raat bhar rehti hai kis baat ki dhun

na jagaati hai na sulaati hai mujhe

roothta hoon jo kabhi duniyaa se

zindagi aake manaatii hai mujhe

aaina dekhoon to kyunkar dekhoon

yaad ik shakhs kii aati hai mujhe

koi mil jaaye to raasta kat jaaye

apni parchaai daraati hai mujhe

ab to ye bhool gaya kis ki talab

des-pardes phiraati hai mujhe