Sapne bhi kyu itne rang birange hote hain

jaise hare bhare podoun ke patte hote hain

zindgi bhi jane kyu sapne dikhati hai

tut-ta unko dekh muskurati hai

dhire dhire hothon se muskan churati hai

phir ankho mn paani bhar ke kyu rulati hai

Har sapna meri ankhon ka kyu adhura reh jata hai

jaise koi sathi chah kar bhi mil nahi pata hai

kyu aasman ko chune ki hasrat khatam ho jati hai

jaise hasti hui ankhon me ansu chhod jata hai