sahil k nazary sy samundar nahiN khulta,

aankhoN sy kabhi rooh ka manzar nahiN khulta

khul jaty haiN kuch log zara der me, laikin,

parkho jisy ik umr, wo aksar nahiN khulta

aasaib koi phaila hua hay keh sar-e-shaam,

is shehr meiN dastak pe koi dar nahiN khulta

seelan ki nami chaaT rahi hay dar-o-deewar,

is ghar ka dareecha koi bahar nhi khulta

hay tangi-e-daman-e-nazar, ya hay ye mumkin,

andar k kisi khof sy johar nahiN khulta

ik roshni aanchal sy tery chanti rahi hay,

hay konsa manzar, pas-e-manzar, nahiN khulta