Rahat Indori

peshaaniyon pe likhe muqaddar nahiin mile

dastaar kahaaN milenge jahaaN sar nahiin mile

aavaaragii ko Duubate suuraj se rabt hai

maGrib ke baad ham bhii to ghar par nahiin mile

kal aaiinon kaa jashn huaa thaa tamaam raat

andhe tamaashbiinon ko patthar nahiin mile

main chaahataa thaa Khud se mulaaqaat ho magar

aaiine mere qad ke baraabar nahiin mile

pardes jaa rahe ho to sab dekhate chalo

mumkin hai vaapas aao to ye ghar nahiin mile