Q muhabat main naya safar kesa laga?

ks tarah wisl k lamhe ik sath guzare?

kese purani yadun k nuqoosh ko chupaya?

kahan tk sath dene ki qasam khae?

kb tk ik rah pe chalne k kea wadey?

arey ye kia

tumhari ankhun k jam q labraiz hain?

abhi to hum ney ye nahi poocha

k wapis loatey waqt

tum ne kitney khuwabo k tukre samete?

kitne tukdrun ne tmuhari ungliyun ko khun alood kia?

k tanhae main safar ney kitna behaal kr dala?

abhi to hum ney ye bhi nahi poocha

k tum bin ghut ghut k jene ka

hum kis sey hisab lain apna?

abhi to hum ney ankhun main ankhain daal k

ye bhi nahi poocha

k apne jese shakhs sey wafa kr k

tumhain kesa laga !