Pyar ki baat chali

Aankhon se barsaat chali

Din tarapty hi katay

Ro ke har raat dhali

Dil Sakun pa na saka

neend bhi aa na saki

Lakh bhula hun magar

dil sy wo ja na saki

Aik tanhai meri raat din sath rahi

aankhon sy barssat chali

Lab py shikwa ha magar

Honth khmosh mere

Cheen kar chain mera

Le gaya Hosh mere

Unki ik yaad sada, har qadam saath chali

Aankon sy barsat chali

Hum ny tu dekh liya

Aj anjam e wafa

Pyar k badle mili

Zilatien hum ko sada

Unki bas jeet huwi, apni tu maat rahi

Aankhon se barsaat chali