Poet: Mohsin Naqvi

tYpEd b¥:

‘ußaId’

BoOk: Azab-e-deed

Rootha Tou Shehr-e-Khuwab Ko Ghaarat Bhi kar Gaya..!!

Phir Muskara kar Taza Shararat bhi kar Gaya…!!

Shayid Ussey Azeez Thein Ankhein meri Buhat..!!

Woh Meray Naam Apni Basaa’rat Bhi Kar Gaya..!!

Moun-zoor Aandi’on Ki Hateli Peh Ek Chiragh..!!

Payda Meray Lahoo Mein Hara’rat Bhi Kar Gaya..!!

Boseeda Baad’baan Ka Tukra… Hawa Kay Saath..!!

Tufaan Mein Kashti’yun Ki Sifaarat Bhi kar Gaya..!!

Dil Ka Nagar Ujaarney Wala Hunar Shanaas…!!

Tameer Hosloon Ki Imaarat Bhi Kar Gaya..!!

Sub Ahl-e-Shaher Jispar Uta’tey Thay Ungliyaan..!!

Woh Shaher Bhar Ko Wajah-e-Ziyarat Bhi Dhe Gaya…!!

Mohsin Yea Dil Keh Ussay Bichartha Na Tha Kabhi..!!

Aaaj Usko Bholney Ki Jisaarat Bhi Kar Gaya..!!