nishabd stabdh

si hai meri kavita.

…jaane kyun pareshaan si hai meri kavita !!

kabhi sach kabhi jhoot

kabhi apni kabhi paraayee

…ek swapn si hai meri kavita !!

door kahin ehsaas ki

bheeshan si varsha mein

…sookhta registaan si hai meri kavita !!

na patth na parhaav

bas khaayiyaan hee khaayiyaan

…patth bhramit pathik si hai meri kavita !!

simti hui sshmi hui

apna jism khoti

…ek behti nadi si hai meri kavita !!

urdhkar door kahin

kshitij aakaash mein

…aawaara baadal si hai meri kavita !!

na rukti na tthertee

is shoonya se uss shoonya

…bhatakti firtee si hai meri kavita !!

kehta apne shabdon ko

nisankhoch nirbhaytaa se

…chauraahe ke paagal si hai meri kavita !!

~**~**~