*. . .nasir kazmi. . .*

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen

aye hain is gali main to pathar hi le chalen

yun kis tarah katega kari dhup ka safar

sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen

ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho

thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi

ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen

is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan

a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen. . .*