na jane kyon mere kadam

us maa ki jholi dekhkar tthehar gaye,

wahin per tow uska baccaha

bhook se roye ja raha tha.

bacchey ki bhook ko mehsoos kar

maa ke aansu bhi

laal rang pakad chuke tthey.

uski adhkhuli chaati ka

doodh sookh jo chuka tha.

wahin kuch bhookey bhediye

maa ka shareer ghoor rahe tthey.

woh uss maa mein

aurat talaash rahe tthey.

apni aankhon se jaise

nimantran de rahe hon

uss laachaari ko.

majboor maa duvidha ke

gehre saagar mein doobti

bacchey ki bhook ki khaatir

har kadam utthaaney ko

majboor thi tayaar thi.

samaaj ki aisi vyatha

ko dekhkar mujhe

ghrinaa ho gayi thi khud se,

laga jaise yeh ‘samaaj’

mera hee tow naam hai.

~**~**~