maaN hai resham ke kaarkhaane meN

baap masruuf suutii mill meN hai

kokh se maaN kii jab se niklaa hai

bachchaa kholii ke kaale dil meN hai

jab yahaaN se nikal ke jaayegaa

karkhaanoN ke kaam aayegaa

apne majbuur peT kii khaatir

bhuuk sarmaaye kii baDhaaegaa

haath sone ke phuul uglenge

jism chaandii kaa dhan luTaayegaa

khiDkiyaan hongii bank kii roshan

khuun iskaa diye jalaayegaa

yah jo nanhaa hai bhola bhaalaa hai

khuuniiN sarmaaye kaa nivaalaa hai

puuchhtii hai yah iskii khaamoshii

koii mujhko bachaane vaalaa hai!