*. . .Kyun Shehar-e-Gham-e-Hijar Bayabaan Para Hai. . .*

Dil Umar Se Seenay Mein Pareshan Para Hai.

Ek Rasta Hai Aankhon Mein Bohat Dair Se Khaali,

Ek Shakhs Hai Seeney Mein Jo Sunsaan Para Hai.

Bemaari-e-Dil Waqt Zyada Nahi Deti,

Mehmaan Tera Ghariyon Ka Mehmaan Para Hai.

Sehra Ki Tarha Dhoop Ugaati Hai Mohabbat,

Dil Itna Pyasa Hai K Lab-e-Jaan Para Hai. . .*

;=;=;=;=;=;=;=;=;=;=;

R o C k s

;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;