Kya du gy meri wafaon ka sila tum

mumkin ho tu karty raho muj pe jafa tum,

Kab jeeta hai dunya main koe qalb-e-shikasta

Allah na yun do muje jeeny ki dua tum,

Kis tarha karen tum se jafaon ki shikayat

jab hoty ho izhaare-e-tamana pe khafa tum,

Tum zulm bhi dhaaty ho tu hum kuch nahi kehty

hum pyar bhi karty hain tu hoty ho khafa tum,

Dunya main hoa kon shareeky gham-e-dunya

gham tum ne diya hai tu karo is ki dawa tum,

Shula ho k bijli ho aandhi ho k toofan ho

bhooli hoe yaadon ki ho bhooli si sada tum,

Ghusy main nazar aaty hain jidhr wo ye sun kar

masoom se jazby ki ho masoom khata tum.

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”