Kuchh tujhko hai khabar ham kya kya ai shorish-e-dauraan bhool gaye

Woh zulf-e-pareeshan bhool gaye, woh deedae-giryan bhool gaye

Ab gul se nazar milti nahin, ab dil ki kali khilti nahin

Ai fasl-e-bahaaran rukhsat ho hum to luft-e-bahaaran bhool gaye

Ai shauq-e-nazaara kya kahiye, nigahon mei koi surat hi nahin

Ai zauq-e-tasavvur kya kahiye hum to surat-e-jaanan hi bhool gaye

Sab ka madawa kar daala apna madawa kar na sake

Sab ke gireban see daale apna hi girebaan bhool gaye

Ab apni wafa ka yeh aalam hai, unki wafa ko kya kahiye

Ek nashtar-e-zeher aageen rakh kar sarhaane, rag-e-jaan bhool gaye