kucch na kaho dard ab had se guzar jaane do

mujhe zindgi se door ab chale jaane do

bahut dekhi hai maine rawayetein is shehar kii

ab kissii andhere k aagosh main mujhe kho jaane do

tanhaayi hi chahiye mujhe mere har kadam par

ho sake toh mujhe woh nagma khamoshi ka gungunaane do

meri aadat rahi hai mohabbat k saath safar karne kii

ab mujhe do ghadi nafrat k sang guzaarne do

kucch de na saka tumhe ashqon k siwa shayad

aaj tere ashqon ko meri aankhon se bahane do

maii chahoon toh bhi shayad tujhe paa naa sakoon

meri chahat ko mere saath hi aaj dafan ho jaane do

bas yaad rakhne kii ek tha jo muskuraata tha

uski hansi ko uske chehre se ho sake toh na jaane do

mat roko mujhe bahut ji liye main ab uske intzaar main

aaj ko bekhudi main khud kii khatam ho jaane do