kisii kaa yuuN to huaa kaun umar bhar phir bhii

ye husn-o-ishq to dhokaa hai sab, magar phir bhii

hazaar baar zamaana idhar se guzraa

naii naii hai magar kuchh terii rahguzar phir bhii

khushaa ishaara-e-paiham, zih-e-sukuut nazar

daraaz hoke fasaana hai muKhtasar phir bhii

jhapak rahii haiN zamaan-o-makaaN kii bhii aaNkheN

magar hai qaafla aamaada-e-safar phir bhii

palaT rahe haiN Gariibul vatan, palaTnaa thaa

voh kuucha ruukash-e-jannat ho, ghar hai ghar, phir bhii

terii nigaah se bachne meN umar guzrii hai

utar gayaa rag-e-jaaN meN ye neshtar phir bhii