Khmosh Reh Ke Bhi Ankho Se Baat Krta He,

Wo Chandni K Takallum Ko Maat Krta He,

Galay Mile Na Mile, Kum Musafha Bhi Nahi,

Mo’attr Ab Bhi Hamen Us Ka Haath Krta He,

Nibha Rahe Hen Kuch Aese Hum Us Se Yarana,

Aboor Jese Koi Pull Siraat Krta He,

Nahi He Km Kisi Shab-e-Zinada Daar Se Wo Shakhs,

Basr Jo Ankhon Men Furqat Ki Raat Krta He,

Rawangi Ki Ijazat Ataa Kare Bhi To Ishq,

Hazar Tohmaten Aashiq K Sath Krta He,

Jo Meherba’n Ho Kisi Pr Koi Haseen Qatil,

Kahan Pasnd Wo Zehr-e-Hyat Krta He,

Boht Se Naam The Us Ki Boht Si Ghazlon Men,

Pr Ab ‘Qateel’ Zra Ehtyat Keta He..!!!