jo mujh ko dekhty thakta nhi tha,

wo itna to badal sakta nahiN tha

kahaN ab koi waisa shehr bhar meiN,

ye jana aadmi yakta nahiN tha,

hua bezaar aisa phir na lauTa,

kadurat dil meiN jo rakhta nahiN tha,

shajar ko bad’dua kesi lagi thi,

samar lagta tha aur pakta nahiN tha

hui chahat alamat k hawaly

bayaN meiN naam aa sakta nahiN tha

mujhy aakhir wo kaisy DhunD leta,

keh dil meiN aankh jo rakhta nahiN tha..