Jo hadsay ye jehan meray nam karta hay.

mera shaoor inhen nazr e jam karta hay.

humaray chak gareban se khelne walo.

humain bahar ka sooraj salam karta hay.

ye mekada hay yahan ki har shay ka huzoor.

gham e hayat bara ehteram karta hay.

yahi sharab yahi be nazeer shay saqi.

isi ka rang humain lala fam karta hay.

faqih e shehar ne tuhmat lagai SAGHAR per.

ye shakhs dard ki dowlat ko aam karta hay.