jis tarah ki hain ye diraven ye dar jaisa bhi hai

sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai

us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumar

meri chahat ka hai mahavr ye nagar jaisa bhi hai

chal para hun shauq-e-beparvah ko murshad man kar

rasta purpech hai ya purkhatar jaisa bhi hai

sab gavara hai thakan sari dukhan sari chubhan

ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai

vo to hai makhsus ik teri mohabbat ke liye

tera ‘Anwar’ bahunar ya behunar jaisa bhi hai