*. .Jb se is ne shehar ko chora hr rasta sunsaan hua,

Apna kia hy sare sehar ka ek jaisa nuqsan hua,

Ye dil ye aasaib ki nagri maskan sochon wahmon ka,

Soch rha hoon is nagri me tu kb se mehmaan hua,

Mere haal pe hairat kaisi dard k tanha mosm me,

Pathar b Ro partay hn insan to phr insan hua,

Itni dair me ujray dil pr kitne mehshr beet gae,

Jitni dair me tujh ko paa kr khonay ka imkaan hua,

Kal tk jis k gird tha raqsaan ek ambaar sitaaron ka,

Aaj isi ko tanha pa k mein to bht hairaan hua,

Jin ashkon ki pheeki lu ko hm be-kaar samjhte thy,

In ashkon se kitna roshan ek tareek makaan hua. .*

Røçk$, , ,